Bachpan Ki Galiyan

bachpan

Bachpan ki galiyon mein ek baar fir jaane ka jee chahta hai

Jin roothon ko chod ke aaye they unhein manane ka jee chahta hai

Radio pe bajta gana unki yaad dilata hai

Jin saathiyon ko chod ke aayein hain unke paas wapas jaane ka jee chahta hai

 

Kon kehta ki yaadein bhooli birsi hoti hain ?

Un yaadon ke sahare ab mujhe jeevan bitane ka jee chahta hai

Aane waala kal humare ghar pe dastak deta hai

Lekin mujhe ae yaaron atit ke pass jaane ka jee chahta hai

 

Apne saathiyon ke saath jin galiyon mein khela karte they

Bhoole bhatke aaj fir un galiyon mein jaane ka jee chahta hai

Shaam aati hai jab jaani pehchaani si khusboo liye

Un jhulfon mein fir ek baar kho jaane ka jee chahta hai

 

Bachpan ki galiyon mein ek baar fir jaane ka jee chahta ha


 

**Image courtesy: http://www.4to40.com/poems/index.asp?p=bachpan&l=Hindi