Kaash main bharat mein hota
**This poem was written in 2011 when my hubby was feeling low and was missing India. We all do after coming abroad and some days feelings are strong and love of our family tries to pull us. This was my attempt to write his feelings in words.
Kaash main Bharat mein hota
Har roz mujhe yeh lagta hai
Ki kaash main bharat mein hota
Mana maine paya hai bahut yahan
Naam kaam vaibhav aur dhan
Lekin anjano mein yaaro
Dhoondhe se mile na apnapan.
Har roz mujhe yeh lagta hai
Ki kaash main bharat mein hota
Aisa lagta hai kahin aur main hoon
Mitti ki woh khusboo hi nahi
Kitni koshish bhi kar loon main
Yeh desh apna lagta hi nahi
Jis ghar mein ma ka pyaar na ho
Papa ka jismein dulaar na ho
Bhai behno ka saath na ho
Woh ghar to hai par naam ka hai
Har roz mujhe yeh lagta hai
Ki kaash main bharat mein hota
Hoton pe muskaan liye
Yaadon ke jharokhe aate hain
Woh baat alag hai yaaron ki
Aankhon ko num kar jaate hain
Galiyon mein ghooma karte they
Sabzi waalo se ladte they
Bees ka nahi dus ka do…
Kabhi hum bhi jhak jhak karte they
Chaat pakodi khaate they
Bandar ki topi laate they
Vish amrit khela karte they
Aur hum na kisi se darte they
Har roz mujhe yeh lagta hai
Ki kaash main bharat mein hota
Baithey yahan hain aaj jo hum
Hai yeh ma ki daant ka fal
Usko kya pata tha chod ke hum
Chal deinge uska hi anchal
Jis ma ne humko pala hai
Har mushkil se nikala hai
Uska daman hum chod chale
Jab humko usne pukara hai
Har roz mujhe yeh lagta hai
Ki kaash main bharat mein hota
Jis desh ne itna pyaar diya
Jin apno ne dulaar diya
Unko bhool ke baitha hoon
Apni duniya mein rehta hoon
Jab sochta hoon kya hoga kal
Darr lagta hai yeh soch ke bhi
Ma baap kahan mere jaayeinge
Kya hoga bachchon ka bachpan
Sanskaar kahan se aayeinge ?
Dadi nani ka pyaar dulaar
Mere bachche kahan se payeinge?
Har roz mujhe yeh lagta hai
Ki kaash main bharat mein hota
Ab tak maine apna hi socha
Kabhi na socha apno ka
Apne sapno ke chakkar mein
Na socha apno ke sapno ka
Har roz mujhe yeh lagta hai
Ki kaash main bharat mein hota
Man karta hai ab mera
Sara pyaar wapas lautane ka
Jis dekh ne mujhe saksham kiya
Us desh ko uncha uthane ka
Jeejaan se mehnat karni hai
Apno ka sapna sajana hai
Apne desh ka karz chukana hai
Mujhe bharat wapas jana hai
*******************************************************
